Monday, November 16, 2015

MIRZA GHALIB SHAYARI

Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
Agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

Tere waade par jiye ham to ye jaan jhoot jaanaa
Ke khushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota

Teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda
Kabhee too na tod sakta agar oostuwaar hota

Koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
Ye khalish kahaan se hotee jo jigar ke paar hota

Ye kahaan ki dostee hai ke bane hain dost naaseh
Koee chaarasaaz  hota, koee ghamgusaar hota

Rag-e-sang se tapakta wo lahoo ki fir na thamta
Jise gham samajh rahe ho, ye agar sharaar hota

Gham agarche jaan_gulis hai, pe kahaan bachain ke dil hai
Gham-e-ishq gar na hota, gham-e-rozgaar  hota

Kahoon kis se main ke kya hai, shab-e-gham buree bala hai
Mujhe  kya  bura  tha  marna ? agar ek  baar hota

Hue mar ke ham jo ruswa, hue kyon na gharq-e-dariya
Na  kabhee janaaza  uthata, na  kaheen mazaar hota

Usse kaun  dekh  sakta  ki yagaana  hai wo yaktaa
Jo dooee ki boo bhee hotee to kaheen do chaar hota

Ye masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaan 'Ghalib' !
Tujhe ham walee samajhate, jo na baada_khwaar hota

Related Posts

MIRZA GHALIB SHAYARI
4/ 5
Oleh

Contact Us

Name

Email *

Message *