Monday, November 16, 2015

MIRZA GHALIB SHAYARI

laazim tha ki dekho  mera rasta koee din aur
tanha gaye kyon ? ab raho tanha koee din aur

mit jaayega sar, gar tera patthar na ghisega
hoon dar pe tere naasiyaa_farsa koee din aur

aaye  ho kal  aur aaj  hee kehte  ho ki jaaoon
maana ki hamesha naheen, achchaa, koee din aur
  
jaate  huve  kahte  ho,  qayaamat  ko milenge
kya khoob ! qayaamat ka hai goya koee din aur ?
  
haan 'ei falak-e-peer, javaan tha abhee 'aarif'
kya  tera  bigadata  jo na marta  koee din aur ?  

tum maah-e-shab-e-char_dahum  the;  mere  ghar ke
phir kyon na raha ghar ka woh naqsha koee din aur ?
  
tum kaun se 'eise the; khare daad-o-sitad ke ?
karta  malak_ul_maut  taqaaza  koee  din aur ?

mujhse  tumhain nafrat sahee, 'nayyar' se ladaayee
bachhon ka bhee dekha na  tamaasha koee  din aur ?

guzree na bahar-haal yah muddat khushee-naakhush
karna tha,  javaan_marg !  guzaara koee din aur
  
naadaan ho jo kehte ho ki kyon jeete ho 'ghalib'
qismat mein hai marne ki tamanna  koee din aur ?

Related Posts

MIRZA GHALIB SHAYARI
4/ 5
Oleh

Contact Us

Name

Email *

Message *