Wednesday, April 22, 2015

GHAZAL

Aatish-e-ishq main jal jaon tujhey is say kiya,
Mousam ki tarah badal jaon tujhey is say kiya..
Chot khaon ya zakham lagay, ya ahsas-e-ghum mein tarpon,
Mein gir jaon ya sanbhal jaon tujhey is say kiya..
Mussartaon ko daikh ker bay qarar ho jaon,
Ya tofan-e-ghum say behal jaon, tujhey is say kiya..
Hansta daikh ker hans paron, rota daikh ker ro paron,
Halat k sanchay mein dhal jaon, tujhey is say kiya..
Zararot nahin ab kisi hamsafar ki saaqi,
Janib-e-manzil tanha nikal jaon, tujhey is say kiya..

Related Posts

GHAZAL
4/ 5
Oleh

Contact Us

Name

Email *

Message *